السلام عليكم و رحمة الله وبركاته How are you all? I hope you are good by the grace of almighty Allah and i am here with a beautiful ghazal by Ullama Iqbal "Mard-e Momin" in roman and urdu Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi Aan Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan! Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabroot Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman Humsaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-Khaki Hai Iss Ka Nasheman Na Bukhara Na Badakhshan Ye Raaz Kisi Ko Nahin Maloom Ke Momin Qari Nazar Ata Hai, Haqiqat Mein Hai Quran! Qudrat Ke Maqasid Ka Ayar Uss Ke Irade Dunya Mein Bhi Meezan, Qayamat Mein Bhi Meezan Jis Se Jigar-e-Lala Mein Thandak Ho, Woh Shabnam Daryaon Ke Dil Jis Se Dehel Jaen, Woh Toofan Firat Ka Surood-e-Azali Iss Ke Shab-o-Roz Ahang Mein Yakta Sift-e-Soorah-e-Rehman Bante Hain Meri Kargah-e-Fikr Mein Anjum Le Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchan! جزاكم الله خيرا كثيرا
Comments
Post a Comment