Shabe baraat k baare mai urdu(below) aur roman mai SHAIKHUL HADITH Hazrat Maulana Muhammad Zakariya Sahab ne ek laylatul bar'at : Shabe baraat mai muzahire uloom sahaarnpur ke daftar wali masjid mai farmaya tha k pyaro! Aaj ki raat bohot darrne ki raat hai, Darte hue guzarne ki hai aise jaise kisi par pakad warrant jaari hua ho toh dara sehma raat guzarta hai k pata nahi kis waqt pakad liya jaun aur... (Jee darr is baat ka k mere abtak k gunaho k natije mai pata nahi aaj ki raat mere baare mai kya faisle hone ja rahe hain? Hayy kya mere aamaale bad k mutabiq meri halakat wa barbaadi, zillat wa nakami k faisle ho rahe hen? Ae Allah Ae Raheem Ae Kareem!! Mai naadim hun, sharminda hun, mujhe maaf farma aur mere saath mere gunaho k mutabiq gunaho ka faisla na farma mai tauba karta hun kalma tayyaba ki aapke saamne tajdeed karta hun aur aayenda aajse aapki raza waale kaam karna chahta hun , mujhe uski bharpur himmat aur taufeeq ata farma) 15th raat Ghurube aftaab : m...
السلام عليكم و رحمة الله وبركاته How are you all? I hope you are good by the grace of almighty Allah and i am here with a beautiful ghazal by Ullama Iqbal "Mard-e Momin" in roman and urdu Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi Aan Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan! Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabroot Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman Humsaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-Khaki Hai Iss Ka Nasheman Na Bukhara Na Badakhshan Ye Raaz Kisi Ko Nahin Maloom Ke Momin Qari Nazar Ata Hai, Haqiqat Mein Hai Quran! Qudrat Ke Maqasid Ka Ayar Uss Ke Irade Dunya Mein Bhi Meezan, Qayamat Mein Bhi Meezan Jis Se Jigar-e-Lala Mein Thandak Ho, Woh Shabnam Daryaon Ke Dil Jis Se Dehel Jaen, Woh Toofan Firat Ka Surood-e-Azali Iss Ke Shab-o-Roz Ahang Mein Yakta Sift-e-Soorah-e-Rehman Bante Hain Meri Kargah-e-Fikr Mein Anjum Le Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchan! جزاكم الله خيرا كثيرا